Poem – Zindagi
Posted November 8, 2010
on:havis-e-duniya main giraftar
aur waqt ki ye tez raftar..
duniya to shayad mil gayee,
magar najanay kahan guzaar di zindagi
bechain mareez, marz say bekhabar,
najaanay kis marham ki talash main hai zindagi..
waqt ki keemat tunay na pehchani
khwaishon ke peechay neelam howee zindagi
khuda say bekhabar, ilm say wa bastaah
is gumraahi ko na pukar zindagi
duniya k shor say nikalkar,
badalon mai chupay chehron mai dhond zindagi
suraj ko dhaltay dekh kabhi..
pholun ki khoshboo mai suong zindagi
duniya ki esharon par to naachtay hain sab,
apni marzi say bhi kabhi guzaar zindagi.
tijarat siasat ki baton say nikal,
masoomon ki ankhon mai dekh zindagi
paison gi gintee main ghumshuda,
asmaan par taaron ko gin kar dekh zindagi
muththi may na sama sakay
samandar kinaray hai jaisay raith zindagi
maut ki leher anay se pehlay mitti kay ghar bana lay
itna mukhtasir sa hai khel zindagi
– Aamer Saadi
4 Responses to "Poem – Zindagi"

beautiful poem… just tooo good..
itna mukhtasir sa khel hai zindagi..
SubhanAllah!!!
GOOD JOB!


duniya ki esharon par to naachtay hain sab,
apni marzi say bhi kabhi guzaar zindagi.
tijarat siasat ki baton say nikal,
masoomon ki ankhon mai dekh zindagi
bht hi lajavab poem likhi hai apne …. 10/10

November 17, 2010 at 1:05 pm
SubhanAllah … it’s really a very nice and inspiring poem Aamer !!
“muththi may na sama sakay
samandar kinaray hai jaisay raith zindagi
maut ki leher anay se pehlay ghar bana lay
itna mukhtasir sa hai khel zindagi” ……. I just love these lines !!
Alfaz nahi mil rahe tumharay zindagi pe shayari ki,
Hum bhi khwaish karte hain aisi hi zindagi ki !!
Good job Aamer … keep going !!
Take care,
Naeema Khan
November 17, 2010 at 6:30 pm
wah janab… 🙂
thanks naeema..